Thursday, May 22, 2008

Tum aur Woh

Kya Dekhte ho tum
Kya Bolte ho tum
Kya Gaate ho tum
Kya aadakar ho tum
Thoda sa Jadoo
Tere Saans Mein,
Thoda sa Noor,
Tere tasaboor Mein.
Haazron hai deewane tere.
Lekin tumhara mallika hai kaun,
Chupi hai woh akeli,
Tumhare Nazar ki Rooh Mein.
Intezar hai usko tumhara,
Lekin kab tum jaagoge,
Malum Nahi hai.
Kismat ka khel aisa hai,
Ki Jisko tum paaya hai,
Woh Gumrah ho jayega.
Tanhai jab tamhegi,
Tumhe milegi,
Woh Anjani hayat.
Tabhi Aetbaar hogi,
Ek naaya Ehsaas,
Jiska koi khitbaa nahi,
Bas ek Naam hai,
Woh hi hai Mohabbat

No comments: